Nazm
Main Apni Pyaas Par Khamosh Thi
Aur Reg-E-Sehra Ki Tarah Se Zindagi Ko Dhoop Ka Tukrra Samajhti Thi
Kabhi Sairaab Hone Ki Tamanna Ne
Badan Mein Sar Uthhaya Bhi
To Apne Dil Se Maine Maa’zrat Kar Li
Kaha Uss Se
Ke Andar Aag Kaisi Hi Bharakti Ho
Mujhe Baarish Ki Jaanib Aankh Uthha Kar Dekhne Ka Haq Nahin Hai
Zubaan Par Aabley Parte Rahen
Lekin Mujhe Shabnam Nahin Chakhni
Mujhe Baadal Ke Haathon Se Koi Tohfa Nahin Lena
Nami Ki Aik Hi Sorat Hai Meri Zindagi Mein
Aur Woh Aansoo Hai!
Magar Jab Se Kisi Lehje Ke Nam Ne
Mere Dil Ki Rait Ko Aa Kar Chhoowa Hai
Mere Andar
Mukammal Bheeg Jaane Ki Tamanna Jaag Uthhi Hai
Lahoo Mein Ab Mere Bas Aatish-E-Saiyaal Hai
Aur Jism Angaare Ki Tarah Se Dehekta Hai
Magar Kya Bakht Hai Mera
Ke Darya Choom Kar Mera Kinaara
Chorr Deta Hai
Saraapa Tishnagi Hoon
Aur Bhara Piyaala Labon Tak Laa Ke Koi
Khench Leta Hai!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top