Cinderela-------Unvisited

Khuli Aankhon Ye Kaisa Khuwaab Mere Saamne Hai
Diyye Aangan Se Lekar Aasman Tak
Gulaab-E-Taaza Ki Khushboo Se Sehen Jaan Tak
Biloreen Jaam
Aur Uss Mein Damakti Surkh Mai
Aur Uss Ke Nashe Se Farozaan Unn Ka Chehra
Sitaaron Se Bana Mera Libaada
Saraapa Iztaraab Ek Shahzaada
Farash Par Shamen Jalata Aik Vaada
Dilon Ke Voilon Par
Waalz Karte Do Badan
Aur Usske Shaano Par Rakhe Sar
Zindagi Se
Neem Sargoshi Mein Ek Hi Baat Dohraati Howi
Khushboo-E-Labb
Aur Uss Ka Jadoo
Gajar Bajte Hi Aadhi Raat Ka
Ye Khuwaab Yakdam Toot Jaata Hai
Sitaaron Se Bana Malboos Mera
Phir Khas-O-Khashaak Ho Jaata Hai
Mera Rath Achanak Toot Jaata Hai
Meri Sheeshe Ki Jooti Raqasga Mein Chhot Jaati Hai!
Magar Agli Sahar
Meri Taraf
Shahi Mehel Se
Koi Qaasid
Dosre Paa’on Ki Farqat Mein Nahin Aata!


Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top