Rukhsat Ki Kasak Rahi Hai Ab Tak
Ek Shaam Sulag Rahi Hai Ab Tak

Shab Kis Ne Yahan Qadam Rakha Tha
Dehleez  Chamak  Rahi  Hai  Ab  Tak

Maathe Pe Woh Labb Thay Saaniya Bhar
Aur  Rooh  Mehek  Rahi  Hai  Ab  Tak

Dekha  Tha  Ye  Kis  Nazar  Se  Uss  Ne
Tasveer  Damak  Rahi  Hai  Ab  Tak

Jo Baat Kahi Nahin Thi Uss Ne
Lehje Mein Khanak Rahi Hai Ab Tak

Kab Ka Howa Khaali Saaghar-E-Shaam
Mai Hai Ke Chalak Rahi Hai Ab Tak

Bin  Aqas  Ye  Kaisi  Jagmagahat
Sheeshe Se Jhalak Rahi Hai Ab Tak

Woh Chasham Ke Baagh Aashna Hai
Jangal Mein Bhatak Rahi Hai Ab Tak

Dono Ke Labon Tak Aate Aate
Ek Baat Atak Rahi Hai Ab Tak

Baarish Ki Hai Chaah Shaakh Ko Aur
Baadal Se Jhijhak Rahi Hai Ab Tak

Shanoon Pe Nahin Woh Haath Lekin
Chaadar Si Sirak Rahi Hai Ab Tak



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top