Salaam

Garche Likhi Howi Thi Shahadat Imaam Ki
Lekin Mere Hussain (R.A) Ne Hujjat Tamaam Ki

Zainab Ki Be Rawaee Ne Sar Mera Dhak Diya
Aghaaz-E-Subh-E-Nau Howi Woh Shaam’ Shaam Ki

Ek Khuwaab-E-Khaas Chasham-E-Muhammad Mein Tha Chhupaa
Tabeer Noor-E-Ain Muhammad Ne Aam Ki

Bachon Ki Pyaas Maalik-E-Kausar Pe Shaak Thi
Saaqi Ko Warna Mai Ki Zaroorat Na Jaam Ki

Hur Sa Naseeb Badshahoon Ko Nahin Naseeb
Aaqaa Se Mil Rahi Thi Gawahi Ghulam Ki

Darya Pe Tishna Labb Hain Pa Sehra Mein Shaadkaam
Duniya Ajab Hai Unn Ke Safar Aur Qayaam Ki

De Kar Raza Jo Chehra-E-Shabbir Zard Hai
Thi ELtija-E-Jang Ye Kis Laala Faam Ki





Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top