Ye Meray Haath Ki Garmi
Jissey Chhuu Kar
Tumhari Aankh Mein Hairat Ke Doorray Hain
Ke Is Se Qabal Jab Bhi Tum Ne Mera Haath Thaama
Baraf Ka Mausam Hi Paaya Tha
Ye Mausam Meray Andar Kitne Barson Se Frokash Tha
Bahaar Aati Thi
Aur Meray Dareechon Par Kabhi Dastak Na Deti Thi
Gulaabi Baarishen
Meray Liye Mamnoo Thien
Aur Subhu Ki Taaza Hawa Ka Zaaiqa
Main Bhool Baithi Thi
Meray Malboos Se Sab Garam Rangon Ko Shikaayat Thi
Mujhe Bas Baraf Ki Chaadar Pehen’ni Ki Ijaazat Thi
Magar Janaan!
Tumhaare Saath Ne To Rooh Ka Mausam Badal Daala
Yahan Ab Rang Ka Tehwaar Hai
Khushboo Ka Mela Hai
Mera Malboos Ab Gehra Gulaabi hai
Meray Khuwaabon ka Chehra Maahtaabi hai
Meray Haathon Ki Hiddat Aaftaabi Hai
Jissey Chhuu Kar….


Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top