Takht  Hai  Aur  Kahani  Hai  Wohi
Aur Saazish Bhi Puraani Hai Wohi

Qaazi-E-Shehar  Ne  Qibla   Badla
Lek Khutbe Mein Rawaani Hai Wohi

Khema Kush Ab Ke Zara Dekh Ke Ho
Jis Pe Pehra Tha , Ye Paani Hai Wohi

Sulaha Ko Fasakh Kiya Dil Mein Magar
Ab  Bhi  Pegham-E-Zubaani  Hai  Wohi

Aaj Bhi Chehra-E-Khursheed Hai Zard
Aaj  Bhi  Shaam  Suhaani  Hai  Wohi

Badlay Jaate Hain Yahan Roz Tabeeb
Aur  Zakhmon  Ki  Kahani  Hai  Wohi

HijLa-E-Gham Yunhi Araasta Hai
Dil Ki Poshaak Shahaani Hai Wohi

Shehar Ka Shehar Yahan Doob Gaya
Aur  Darya  Ki  Rawaani  Hai  Wohi


Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top