Chalne Ka Hosla Nahin , Rukna Mahaal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujhe Nidhaal Kar Diya

Ae Meri Gul Zameen Tujhe Chaah Thi Ek Kitaab Ki
Ehl-E-Kitaab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya

Milte Howe Dilon Ke Beech Aur Tha Faisla Koi
Uss Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawaal Kar Diya

Ab Ke Hawa Ke Saath Hai Daman-E-Yaar Muntazir
Banoo-E-Shab Ke Haath Mein Rakhna Sanmbhal Kar Diya

Mumkina Faislaon Mein Aik, Hijar Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne To Aik Baat Ki , Ussne Kamaal Kar Diya

Mere Laboon Pe Muhar Thi , Par Sheesharu Ne To
Shehar Ke Shehar Ko Mera Waqif-E-Haal Kar Diya

Chehra O Naam Aik Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Waqt Ne Kis Shay Ko Khuwaab O Khayal Kar Diya

Muddaton Baad Uss Ne Aaj Mujhse Koi Gila Kiya
Mansab-E-Dilbari Ye Kiya Mujhko Bahaal Kar Diya

Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top