Khushboo Ko Titliyun Ke Paron Mein Chhupaonga

 

Khushboo Ko Titliyun Ke Paron Mein Chhupaonga

Phir Neelay Neelay Baadalon Mein Laut Jaonga

 

Deewana-Waar Mujhse Lipat Jaayegi Hawa

Main Surkh Surkh Phoolon Mein Jab Muskuraonga

 

Sonay Ke Phool Patay Girenge Zameen Par

Main Zard Zard Shaakhon Pe Jab Gungunaonga

 

Ye Lakrriyan Jo Khushk Hain Be-Barg-O-Baar Hain

Inko Main Apni Aag Mein Jalna Sikhaonga

 

Denaar Khoob Barsenge Aangan Mein Saari Raat

Main Khuwaab Ke Shajar Ki Woh Shaakhen Hilaonga

 

Dhul Jayenge Badan Pe Jami Dhoop Ki Tehen

Apne Lahu Mein Aaj Main Aisa Nahaaonga

 

Ek Pal Ki Zindagi Mujhe Behad Aziz Hai

Palkon Pe Jhilmilaonga Aur Toot Jaonga

 

Ye Raat Phir Na Aayegi Baadal Barasne De

Main Jaanta Hoon Subha Tujhe Bhool Jaonga

 

Is Din Bajaaye Ous Ke Tapkega Surkh Khoon

Talwaar Le Ke Jab Main Khalaa’on Mein Jaaonga

 

Jab Raat Ke Sapurd Mujhe Karne Aaoge

Romaal Roshni Ka Hawa Mein Urraonga

 

Aangan Mein Nanhe Nanhe Farishte Larrenge Jab

Bhoori Shafeeq Aankhon Mein Main Muskuraaonga

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<Previous Ghazal    This Book    Next Ghazal>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top