Ye Chaandni Bhi Jinko Chhoote Howe Darti Hai

 

Ye Chaandni Bhi Jinko Chhoote Howe Darti Hai

Duniya Inhi Phoolon Ko Pairon Se Masalti Hai

 

Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai

Jis Daal Pe Baithe Ho Woh Toot Bhi Sakti Hai

 

Lobaan Mein Chingaari Jaise Koi Rakh Jaaye

Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai

 

Aa Jata Hai Khud Khench Kar Dil Seene Se Patrri Par

Jab Raat Ki Sarhad Se Ek Rail Guzarti Hai

 

Aansoo Kabhi Palkon Par Taa-Dair Nahin Rukhte

Urr Jaate Hain Ye Panchhi Jab Shaakh Lachakti Hai

 

Khush Rang Parindon Ke Laut Aane Ke Din Aaye

Bichrre Howe Milte Hain Jab Barf Pighalte Hai

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<Previous Ghazal    This Book    Next Ghazal>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top