Chaand Haath Mein Bhar Kar , Jugnoo'on Ke Sar Kaato Aur Aag Par Rakh Do

 

Chaand Haath Mein Bhar Kar , Jugnoo'on Ke Sar Kaato Aur Aag Par Rakh Do

Qaafla Parindon Ka Jab Zameen Pe Gir Jaaye Chaako’on Ke Sar Rakh Do

 

Main Bhi Ek Shajar Hi Hoon Jis Pe Aaj Tak Shayad Phool Phal Nahin Aaye

Tum Meri Hatheeli Par Aik Raat Chupke Se Barf Ke Samar Rakh Do

 

Dhoop Ka Hara Bajra , Aag Ke Samandar Mein Chal Parra Humein Lene

Naram-O-Garam Honton Se Band Hoti Aankhon Ki Titliyun Ke Par Rakh Do

 

Chaahe Koi Mausam Ho Din Gayi Baharon Ke Phir Se Laut Aayenge

Aik Phool Ki Pati Apne Hont Par Rakh Kar Mere Hont Par Rakh Do

 

Mera Tann Darakhton Mein Is Liye Jhulasta Hai Sakht Dhoop Sehta Hai

Kya Ajab Tum Aa Niklo Aur Mere Kaandhon Par Thak Ke Apna Sar Rakh Do

 

Roz Aisa Hota Hai Raat Ke Samandar Mein Shehar Doob Jaata Hai

Iss Liye Zaroori Hai Ek Diya Jala Kar Tum Dil Ke Taaq Par Rakh Do


Poet : Dr Bashir Badr

<<<Previous Ghazal    This Book    Next Ghazal>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top