Dailymotion Link

Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani... by iftee555


Yeh Daulat Bhi Le Lo Yeh Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani

Yeh Daulat Bhi Le Lo Yeh Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani

Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani
Mohallay Ki Sab Se Nishaani Puraani
Woh Burhiyaa Jisse Bachay Kehte Thay Naani
Woh Naani Ki Baaton Mein Pariyoon Ka Dera
Woh Chehre Ki Jhuriyoon Mein Sadiyoon Ka Phera
Bhulaaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi
Woh Choti Si Raatein Woh Lambi Kahaani

Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani


Karri  Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Woh Chirriya Woh Bulbul Woh Titli Pakrrna
Woh Gurriya Ki Shaadi Pe Larrna Jhagarrna
Woh Jhoolon Se Girna Woh Gir Ke Sanbhalna
Woh Peetal Ke Challon Ke Pyaare Se Tohfe
Woh Tooti Howi Choorriyoon Ki Nishaani

Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani


Kabhi Rait Ki Oonchay Teelon Pe Jaana
Gharonde Banana Bana Ke Mitaana
Woh Masoom Chahat Ki Tasveer Apni
Woh Khuwaabon Khiloonon Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishtoon Ke Bandhan
Barri Khoobsorat Thi Woh Zindagani
Yeh Daulat Bhi Le Lo Yeh Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Chheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani
Woh Kaghaz Ki Kashti Woh Baarish Ka Paani


Poet : Sudarshan Faakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top