Aaj Ki Raat Aaj Ki Raat Chalo
Jaagti Aankhon Mein Haseen Khuwaab Bunen
Bhool Jayen Ke Muhabbat Ke Siwa Duniya Mein
Aur Bhi Gham Hain Koi Aur Bhi Takleefein Hain
Moond Len Aankh Har Ek Dard Se
Bas Aaj Ki Raat Aaj Ki Raat Chalo
Jaagti Aankhon Mein Haseen Khuwaab Bunen
Aaj Ki Raat Chalo
Jaagti Aankhon Mein Haseen Khuwaab Bunen
Bhool Jayen Ke Kabhi Humne Yeh Chaaha Tha Ke Hum
Titliyoon Ki Tarah Ulfat Ki Hawaon Mein Urren
Raasta Jaisa Ho Pur Khaar Ke Phoolon Se Ladaa
Haath Mein Haath Liye Torr Ke Rasmein Saari
Bas Yunhi Chalte Rahen Chalte Rahen Chalte Rahen
Waqt Ke Haath Ne Ehsaas Ki Deewaron Par
Apni Be-Laus Muhabbat Ke Na Mitne Wale
Surkh Bedaagh Lahu Se Jo Ibaarat Hai Likhi
Aaj Ki Raat Meri Jaan Woh Ibaarat Na Parhen
Aaj Ki Raat Chalo
Jaagti Aankhon Mein Haseen Khuwaab Bunen



Maine Maana Ke Yeh Dushwaar Bohat Hai Lekin
Kaunsi Baat Hai Asaan Yahan Yeh To Socho
Hijr Ke Zikr Mein Janaan Jo Yeh Pal Beet Gaya
Jaane Phir Waqt Ke Veeran Ghanne Jangal Mein
Yeh Haseen Wasl Ka Pal Hum Ko Mile Ya Na Mile
Is Liye Aao Meri Jaan Faqat Is Lamhe
Dil Ki Peshaani O Rukhsaar Se Dhu Kar Afkaar
Aik Lamha Hi Sahi Jeene Ki Khuwahish To Karen
Dharkanen Aaj Nayi Shookh Dhunon Se Bhar Den
Aaj Ki Raat Chalo
Jaagti Aankhon Mein Haseen Khuwaab Bunen
Aaj Ki Raat….  Aaj Ki Raat.…
Aaj Ki Raat….  Aaj Ki Raat….
Aaj Ki Raat…. Aaj Ki Raat….


Poet : Farhat Shahzad

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top